People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 2 *

Gham Ka Sataya Hua
Singer: Nitin Mukesh
Music: Jitin Shyam
Lyricist: Shabnam Karwari
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Abu-Kaliya/Gham-Ka-Sataya-Hua
gham ka sataya hua kismat ka mara hua
zindagi ke har khel me hara hua
gham ka sataya hua kismat ka mara hua

shayad mere hath me jeet ki rekha nahi
jo bhi maine chaha use hote huye dekha nahi
pa saka na mai use jo bhi mujhe pyara hua
gham ka sataya hua kismat ka mara hua

jane kya kya dil me tha
khab the arman the
kya khabar thi ye tabahi ki meri saman the
rah gaye bhanwar me hum dur ab kinara hua
gham ka sataya hua kismat ka mara hua
zindagi ke har khel me hara hua
gham ka sataya hua kismat ka mara hua
Neki Aur Badi El Dinn
Singer: Nitin Mukesh
Music: Jitin Shyam
Lyricist: Shabnam Karwari
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Abu-Kaliya/Neki-Aur-Badi-Ek-D
neki aue badi sabki ek din tauli jayegi
are neki aue badi sabki ek din tauli jayegi
paap aur puny ki pustal
sabki ek din kholi jayengi
sabko hisab dena hai sabko jawab dena hai
sabko hisab dena hai sabko jawab dena hai
neki aue badi sabki ek din tauli jayegi

dost bana ke daga na de pyar jata ke saja na de
are dost bana ke daga na de pyar jata ke saja na de
chhal ki maari raho se daman bacha gunaho se
jo kuch kiya saha tune sath tere kal jayenga
karm ka fal payenga
sabko hisab dena hai sabko jawab dena hai
neki aue badi sabki ek din tauli jayegi

man ki aasha tod na de kisi ki aasha chhod na de
man ki aasha tod na de kisi ki aasha chhod na de
din kisi dukhiya par karm kisi par kiya to kar
do gaj kafan ki kimat kya kyu itna dhan joda
sabne jag ko chhoda
sabko hisab dena hai sabko jwab dena hai
neki aue badi sabki ek din tauli jayegi
paap aur puny ki pustal
sabki ek din kholi jayengi
sabko hisab dena hai sabko jawab dena hai
neki aue badi sabki ek din tauli jayegi jayegi
neki aue badi sabki ek din tauli jayegi
paap aur puny ki pustal
sabki ek din kholi jayengi